Chotta scale 6inch ka hota hai, jo pencil box mein aa jata hai.
6 inch = 6*2.54= 15.24cm
approx 15cm ka
bada scale jis se masterji punishment dete hai 12 inch ka hota hai.
12 inch = 12*2.54 = 30.48cm
lagbhag 30cm ka
jise ek foot bhi bolte hai
1 foot = 12 inch
aise 3 foot mila kar ek yard banta hai
1 Yard = 3*12= 36inch= 91.44cm = 0.91 meter
1 square yard matlab ek square ka area jis ki side 1 yard hai
ek square yard ko ek gaj bhi bolte hai, lagbhag barabar hote hai
1 square yard = 1 Gaj
100 meter ki race toh baghe hi hoge, toh andaja hoga 100 meter ka
ek 5 manjil building lagbhag 5*3 meter = 15 meter ucchi hoti hai
ek hectare matlab 100 by 100 meter ka square
Square jiski side 100 meter ki hai
ek hecatre = 2.47 acre
ek acre yani lagbhag 64 meter ki side ka square.
1 acre = 4047 sqaure meter = 63.6 meter * 63.6 meter
ek hectare mein 3.95 Bigha hota hai
1 hectare = 3.95 Bigha
matlab kariban 4 Bigha se thoda kam hota hai hectare.
ek bigha matlab ek square jis ki side 50 meter ki hai
1 bigha = 2529 square meter = 0.2529 hectare
1 bigha = 50 meter* 50 meter = 2500 square meter
छोटा स्केल या पैमाना 6 इंच का होता है, जो पेंसिल बॉक्स में आ जाता है।
6 इंच = 6*2.54= 15.24 cm
लगभग 15cm का
बड़ा पैमाना जिस से मास्टरजी सजा देते हैं 12 इंच का होता है।
12 इंच = 12*2.54 = 30.48 cm
लगभाग 30cm का